Ads

Sunday, 19 February 2012

Love Story:Teri Yadein (Part 1)



Uss ke aakhri alfaaz aaj bi mery kaano mai goonjy hen, uss ne aakhri baar jab mai usy chor ker jaa raha tha toh uss ne mujhe pukara or yai kaha,
“Waqar!!
Yai toh bataty jao ke aakhir mera kasoor kiya tha..!!??
Salams, Mera name Waqar Baloch hy. 22 years old & Im 4rm interior sindh sukhe se takreeban 150 k.m door mera vilg he. Yai meri real life story hai meri aap beeti..!!
Muje ager batti ki khushboo bohat achi lagti he kyok me soog manata hun apni masoom mohabbat ka. .
Her insan apni umer main eik martba sacha piyer zaroor kerta hy, kyunk Dil sirf dharne ke lie nahy hota,Dill , kab kahan kiss wakat apne andarr kisi oor ki bitha le pata nhe chalta, khaber nahy hooti…!!
~~
Shayd me piyer ke laaiq tha he nahe, tabi toh nakaam hua. Kher muje ek girl se bachapn se bohat piyer tha her nam was Dua baloch. Ham saath pale barhe, khele koody her kaam her ikathy kia, bachpan ke din sath me bitaaye or jawani ki dehleez ek saath daikhi. Muje nhe pata tha bachpan ke dost se muje utna piyer ho jea ga, or uss ka itna barra aashq hojaaun ga…!!
Menny jab se hosh sambhala, Ussi larki ko piyer kia , jab bi chaha usi ki chahat ki jab bhi manga her ek dua main ussi ko manga,, koi sapna buna to uss khuawb ki tabeer ko ussi ek main talaash kia…!!
.
jab bhi daikha ussi ki soorat nazer aai matlab ishq ki intha or payer ki her had se barh ker diwangi ki tarha ussi ko chaha…!!
zindagi sari ussi pe waar di 15 saal…….!!!!!!!
Yahan ek baat batta dun ke, Uss ka village alg tha, mera algg. Voh P.M.L(F) me the, or ham loog PPP mai village tha sare faisly wadeery kerty thy. Mager hamen yakin tha ke hamaraa piyer dono villages ko ek martba fir ikatha ker dy ga Qk ham log family riawal nahe balk political raiwal thy, hen or shayd hamesha raheen..!!
Me ne Bba mukamal ker dia or Mba ke soch raha tha. Basically me ek rude ukhraa hua jazbaati gussela or jhagraalo type larka tha, lambe baal halki daarhi okaab ki tahra aankhain jo bi daikhta pata nhe kiyon katraa sa jaata, mai esa nhe tha bachpan se jawanni tak school college or university me pata nhe kithny jhagre kie the, zarra gussa aaya pakraa or maara. Chahe voh koi kitna barra aadmi he kiyun na ho mger beparwaah rahta tha, shayd strong family background tha Qk mere baba sain uncle vager bohat barry land lord hen, hamara village ek mazboot qilla samjha jaata he vessy bi hamaara Qabilla matlab Chandio Baloch sindh ke sardar hen . kher me ny kafi martba Dua ke bhauyo uncles ko bi bohat mara tha. Qk me samjhta tha dua mere saath he muhy koch nahe hoga. Jesa ke Log bi kehte hen her kamyaab aadmi ke peechay kissi orat ka haath hoota hy..!!??
Han hota he kia…!??
Me ny life her exam mai kheel mai top kia, mai yahi manta tha bachpan se hi ke,
“I have The Power & I Can Creat My Destiny Own”
Mai yahi manta tha ke “kuch bi na-mumkin nhe”!!
Mai galat tha na…!!??
Han me galat he tha, shayd…!!
….
2006 mai mobile phone aaya toh jaisy her di hamari eid ho gai, Ham her waqat sms cheat mobile pe batt kerty rehty thy, internet cheating mms chup chup ker milna vagera zindgi kia hoti he kissy kehty hen mai unn dinoon aasman per orr raha tha, vessy bi piyer ager saath mai ho toh usss jesi kio khoshi nhe hooti. Kher din esy guzer rahe the. Mainy dua ke rishty ki baat suni, ke uss ka koi relative hai Karachi bank mai kaam kerta hy. Meny jabb pocha toh dua tell ke galat he mai tumhari hun bass tumhari, marr jaungi mager kissi orr ki nahe hoongi..!!
Esy hi dinn guzerny lage, dua ne milna kam ker dia ke ammi ko shakk ho gaya he, uss ke baad baat bi sms cheat bi aahsta aahsta kamm kamm ker di uss ke baad mobile pe baat bi thori kerny lagi, me bi paagal yai nahe samjh paaya ke voh khod ko sameet ker waapsi ka raasta banaa rahi he.
Ek waqat essa aaya ke dua ke number bund rehy laga kehti ke ammi ki vajha se, fir number permrnent off.
Uss ka couzen tha Arman Baloch voh bachpan se mere sath tha kehta tha samjhata tha ke larki kr chaker mau matt paro yai tumhare laaiq nhe matlabi he tumhen istimaal ker rahi he uss ne number change ker dia he tumhain dai nhe rahi, game khel rahi ha imager mai du ape andha etmaad kerta tha. Arman ki batt pe koi dhiyan nhe daita or ager dost nhe hota toh shayed us ka hasher bura kr daita. Mger frend tha bardasht kerna parta he.
Hamara raabta khatam ho gaya. Arman ki girl frend thi Sana Baloch. Dua Sana or Arman aapas me sage couzans the. Sana mujhe samjhti ke bhai ap apne qadam rook lo Dua ap ke laaiq nhe. Khoobsorat he mega rap ke saath kheel khel rahi hai. Lekin mai samjhta tha ke Dua ke husun or hamary piyer se her koi jalta he. Dua kabi kabi sana ke cell se batt kerti ya sans kerva daiti. Me ek junooni kissm ka insaan tha, haalat ajeeb ho gae the mery dua ke siva..
Mager ussy shayed parwaah nhe thi apne shadi ki planning bage shaher ke sapne aazadi ke khowb bunn rahi thi.
2011 wala ramzaan me meny Dua ki enagement ki baat suni, 3 din ke baad dua ne fon kia or kaha ke esi koi batt nhe jhoot hy tumhare siva mai udaas hun pareshaan hun beemar parr gai hun mgar himaat matt haarna im wth you. Or fir raabta khatam hogaya.
Mai tab balochistan gaya hua tha, jab wapass aaya toh,
Baarat daikh ker mai bohat khosh or khod ki shadi dua ke sath ke lie duaen mangny laga.
Lekin mujhe kia pata tha ke mere sat hiss tarha bi hoga..!!
Mujh pe jausy sakta taari ho gaya tha…
Dua…..!!
jo kahti thi meri zindagi tum se hai, meri bandagi tum se hai meri khushyaan mera piyer mery do jahan tum se hain tum ho to me hun tum nahy to main bhi nahy…!!
Voh baarat mai dolhan bani ja rahi thi or itna khosh ke uss ne mujhe daikha tak nahe or nazer andaaz ker kia jese mujhe jaanti tak na ho….!!
.
Uss azeem shaksiyat jiss ne itny dawe kie kasmain khaaen wady kie mujh se poocha tak nahe mujhe bataya tak nhe or………..”mujhe uss nai choor dia”
mager koi iss atrha kesy choor sakta hai peeroon tally zamen kesy nikalti hai ye soochta tha orr uss se poochta tha tab vo khamoosh hooti thi mager uss ne ker dikhaya or mujhe bata dia mery peron tale zameeen kheench ker…!!

2 comments:

  1. galat bat hai talii 2 hath se bajti aik se nhi jnb nd afsos howa

    ReplyDelete
  2. bhai jan koi larki tab tak dhoka nahi dati jab tak usa kisi or sa dhoka na mila

    ReplyDelete